Uttar Pradesh mein aastha har gali-mohalle mein basti hai. PINDRA UP 65 ki mandir darshan series ka maqsad simple hai — jo log door rehte hain ya ja nahi paate, unhe ghar baithe darshan aur jagah ki jhalak mil sake.
Kashi Vishwanath, Varanasi
Barah Jyotirlingon mein se ek, Kashi Vishwanath Varanasi ki pehchaan hai. Humne mandir aur shehar ka drone view share kiya — upar se Kashi ka nazara kuch alag hi hai.
Shri Trilochan Mahadev, Jaunpur
Jaunpur zile ka Trilochan Mahadev mandir aas-paas ke ilaakon ke shraddhaluon ke liye bada aastha kendra hai, khaaskar Sawan mein.
Bhadrakali Maa, Dhawkalganj (Varanasi)
Varanasi ke Dhawkalganj mein Bhadrakali Maa ka mandir — sthaniya logon ki gehri aastha ka sthaan.
Rameshwar Dham ka Lota Bhanta Mela
Varanasi ke Rameshwar Dham ka Lota Bhanta Mela apni anokhi parampara ke liye jaana jaata hai, jahan shraddhalu darshan ke saath mele ka anand lete hain.
UP ke bahar bhi: Maihar Devi
Ghumakad Banarasi ka safar UP tak seemit nahi. Sawan mein humne Madhya Pradesh ke Maihar Devi Sharda Mata ke darshan bhi share kiye.
Agli baar kis mandir ya mele ki coverage dekhna chahenge? Instagram ya YouTube par comment karke zaroor batayein.